Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein Naat Lyrics



Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein
Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Khawahish mujhy dunya ki naa shok hy jeney ka
Ik dil mein tamana hy marnay ki Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Peenay ko tarasty hain pyasy jisay mudat sy
Hum peety hain bhaar bhaar ky wo jaam Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Yaraan e Muhammadﷺ ki kia shaan nirali hy
Soey hain kiyamat tak wo yar e Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Uthain gy Rashidi wo jab sath Muhammadﷺ ky
Bakhshi hy unhain rab ny yaa sogaat Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein
Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

2 comments:

Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Naat Lyrics -Urdu

Mujhpy bhe chashme karam Naat-Lyrics Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Haq toh mera bhe hai rehmat ka takaza karna ______...