Huzoor meri toh sari Bahaar App-sy hai
Mein bekarar tha mera qarar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Mere toh Hastii hei kya hae meray Gareeb-Nawaz
Jo mil rha haii mujhaay
sara pyaar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Ya meray Jan-O-dil to Aap par Qurban hoay
Jo mujh ko hai saans pay Ikhteyar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Mein iss Yaqeen sy zinda hu app mery hain
Meri hayat ka Dar-O-Madar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Muhabaton ka sila aesay kon deta hai
Sunehri jalion mein Yaar-E-Gaar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Kahan wo Arz-E-Madina kahan meri Hasti
Ya hazri ka sabab baar-bar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Seyahakar hu Aaqa bari Nadamat hai
Qasam khuda ki ya mera waqar apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Huzoor apki yadoon my ashkay rehmat hai
Ya teri ankh Zia ashkbaar Apsy hai
Bhout umda
ReplyDeleteجزاک اللہ
Delete