Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay Naat-Lyrics | Urdu

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay Naat-Lyric's


Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay
Yeh hawaley mujhy ruswa nahi hony detay

Mere har ayeb ki karty hain wo parda poshi
Mere jurmon ko tamasha nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Apne mangton ki fehrist mein rakhty hain mujhy
Mujh ko mohtaj kisi ka nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Baat karta hoon to aati hai mehak tayba ki
Mere lehjay ko wo mela nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Hey ya emaan k wo aeyain gy lahad my meri
Apny mangton ko wo tanha nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Hukam karty hain to miltay hain ye maqty “Shakir”
Aap naa chahain to mutlaa nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay
Yeh hawaley mujhy ruswa nahi hony detay


No comments:

Post a Comment

Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Naat Lyrics -Urdu

Mujhpy bhe chashme karam Naat-Lyrics Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Haq toh mera bhe hai rehmat ka takaza karna ______...