Ek may hi nahi un-per qurban-zamana hai Lyrics | Naat | Urdu


Ek mein hi nahi un-per qurban-zamana hai
Ek mein hi nahi un per qurban zamana hai


Ek mein hi nahi un-per qurban-zamana hai
Jo Rabe-Do-Aalam kaa Mahboob yaga-na hai

Kal pul say hamein jis-nay khud paar lagana hai
Zahra ka-woh baba hai hasnain ka Nana hai

Izzat say na marjayaen kyun naam-e-Muhammad ﷺ par
Youn bhi kisi din hum ne duniya say toh jana hai

Soh baar agar tauba tute bhi to hairat kya
Bakhshish ki rawayat mein toba to bahana hai

Pur noor si rahein hain gumbad pay nigahein hai
Jalwey bhi anokhay hain manzar bhi suhana hai

Yeh keh kay Dar-E-Haq say li maut mein kuch mohlat
Milad ki Aamad hai mehfil ko sajana hai

Aao Dar-E-Zahra par phelaye hue Daman
Hai nasal kareemon ki lajpal gharana hai

Qurban us Aaqa per kal hashr ke din jisnay
Iss Umat-E-Aasi ko kamli mein chupana hai

Har waqt woh hain meri Duniya-E-Tasawar mein
Aie shoq kahin ab to Aana hai na jana hai

Hum kyun na kahein unsay Rodad-E-Aalam apni
Jab unka kaha khud bhi Allah nay mana hai

Mehroom-E-Karam isko rakhiye na Sar-E-Mehshar
Jaisa hai Naseer Aakhir sahil toh purana hai

2 comments:

Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Naat Lyrics -Urdu

Mujhpy bhe chashme karam Naat-Lyrics Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Haq toh mera bhe hai rehmat ka takaza karna ______...