Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Naat Lyrics -Urdu


Mujhpy bhe chashme karam Naat-Lyrics

Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna
Haq toh mera bhe hai rehmat ka takaza karna
_______________________________________________________________
Tu kisi ko bhe uthata nahi apne Dar sy
Ky teri shaan ky shaaya nahi aisa karna
_______________________________________________________________
Mein hun bekas tera shewaa ha sahara dena
Mein hun bemar tera kam ha acha karna
_______________________________________________________________
Mai ke zarra hu mujhe wus-ate sahara dedy
Ke tere bas me hai katray ko bhi darya karna
_______________________________________________________________
Un Sahaba ki khush itwar nigahoon ko salam
Jin ka maslaq tha tawafay rukhay zaiba karna
_______________________________________________________________
Dushman Aajay to uth ky wo bichana chadar
Yun Husn-e-ikhlaq se ghairon ko bhe apna krna
_______________________________________________________________
Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr-e-Yateem
Sari umat ki shafa-at tanha tanha karna
_______________________________________________________________
Chand ki tarha tere gird woh taaron ka hujoom
Woh tera halqaye ashab me baitha karna
_______________________________________________________________
Mujhpy mehshar main Naseer unki nazar padh hi gayi
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna

Ek may hi nahi un-per qurban-zamana hai Lyrics | Naat | Urdu


Ek mein hi nahi un-per qurban-zamana hai
Ek mein hi nahi un per qurban zamana hai


Ek mein hi nahi un-per qurban-zamana hai
Jo Rabe-Do-Aalam kaa Mahboob yaga-na hai

Kal pul say hamein jis-nay khud paar lagana hai
Zahra ka-woh baba hai hasnain ka Nana hai

Izzat say na marjayaen kyun naam-e-Muhammad ﷺ par
Youn bhi kisi din hum ne duniya say toh jana hai

Soh baar agar tauba tute bhi to hairat kya
Bakhshish ki rawayat mein toba to bahana hai

Pur noor si rahein hain gumbad pay nigahein hai
Jalwey bhi anokhay hain manzar bhi suhana hai

Yeh keh kay Dar-E-Haq say li maut mein kuch mohlat
Milad ki Aamad hai mehfil ko sajana hai

Aao Dar-E-Zahra par phelaye hue Daman
Hai nasal kareemon ki lajpal gharana hai

Qurban us Aaqa per kal hashr ke din jisnay
Iss Umat-E-Aasi ko kamli mein chupana hai

Har waqt woh hain meri Duniya-E-Tasawar mein
Aie shoq kahin ab to Aana hai na jana hai

Hum kyun na kahein unsay Rodad-E-Aalam apni
Jab unka kaha khud bhi Allah nay mana hai

Mehroom-E-Karam isko rakhiye na Sar-E-Mehshar
Jaisa hai Naseer Aakhir sahil toh purana hai

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay Naat-Lyrics | Urdu

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay Naat-Lyric's


Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay
Yeh hawaley mujhy ruswa nahi hony detay

Mere har ayeb ki karty hain wo parda poshi
Mere jurmon ko tamasha nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Apne mangton ki fehrist mein rakhty hain mujhy
Mujh ko mohtaj kisi ka nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Baat karta hoon to aati hai mehak tayba ki
Mere lehjay ko wo mela nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Hey ya emaan k wo aeyain gy lahad my meri
Apny mangton ko wo tanha nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Hukam karty hain to miltay hain ye maqty “Shakir”
Aap naa chahain to mutlaa nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay

Unka mangta hoon jo mangta nahi hony detay
Yeh hawaley mujhy ruswa nahi hony detay


Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein Naat Lyrics



Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein
Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Khawahish mujhy dunya ki naa shok hy jeney ka
Ik dil mein tamana hy marnay ki Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Peenay ko tarasty hain pyasy jisay mudat sy
Hum peety hain bhaar bhaar ky wo jaam Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Yaraan e Muhammadﷺ ki kia shaan nirali hy
Soey hain kiyamat tak wo yar e Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Uthain gy Rashidi wo jab sath Muhammadﷺ ky
Bakhshi hy unhain rab ny yaa sogaat Madinay mein

Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Bighray hoa ban jatay hain sab kaam Madinay mein
Aaty hy jahan bhaar ky sultan Madinay mein

Naats Rubai - Rubaiyat

“ Dil Ki Dunya Hy Jo Her Lehza Saji Rehti Hy
 Unky Anay Ki Hamy Aas Lagi Rehti Hy ”

************************************************

“ Mein Wo Saa-ill Nahi Dar Dar Py Jo Dety Hain Sadaa
Bas Ak Hi Dar Hy Jahan Aankh Jami Rehti Hy ”

************************************************

“ Aao Aao Ky Madinay Ky Faqeeron Sy Milain
Badshahon Ki Mulaqat Mein Rakha Kiya Hy ”

************************************************

“ Unky Andaaz Zamany Sy Judaa Hoty Hain
Jo Shehen-shahey Madina Ky Gadaa Hoty Hain ”

************************************************

“ Zulf Daikhi Hy Ky Nazron Ny Ghataa Daikhi Hy
Lutt Gya Jisny Muhammad ﷺ Ki Aada Daikhi Hy ”

************************************************

“ Aaj Sarkar Ny Zulfon Ko Sawara Hoga
Tabi Hakim Ny Muaatar Se Hawaa Daikhi Hy ”

************************************************

“ Jis Ki Jholi My Hain Sarkar K Dar Ky Tukry
Usko Pir Kon Si Namat  Ki Kami Rehti Hy ”

************************************************

“ Rasty Saaf Bataty Hain Ky Aap Atey Hain
Hum Jo Mehfil Ko Sajaty Hain K Aap  Atey Hain ”

************************************************

“ Yaa Na Socho Ky Wo Aengy Toh Baithy Gy Kahan
Wo Toh Khushbo Ki Tara Dil My Utar Jaaty Hain ”

************************************************

“ Jhoom Kar Hum Jo Sunain Gy Tarana Tera
Bakhsh Dy  Gaa Humy Teri Khatir Humy Nana Tera ”

************************************************

“ Uss Ko Gulzaray Shujaat Ki Kali Kehty Hain
Iss Bahadur Ko Hussain Ibn-E-Ali Kehty Hain ”

************************************************

“ Jis Ko Dhubaa Hoa Suraj Bi Palat Kar Daikhy
Hum Isay Apnay Aqeedy My Ali Kehty Hain ”

Click Here To Open Doc

Click Here To Open PDF


HUZOOR MERI TOH SARI BAHAAR APP-SY HAI -NAAT LYRIC’S


Huzoor meri toh sari Bahaar App-sy hai
Mein bekarar tha mera qarar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Mere toh Hastii hei kya hae meray Gareeb-Nawaz
Jo mil rha haii mujhaay sara pyaar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Ya meray Jan-O-dil to Aap par Qurban hoay
Jo mujh ko hai saans pay Ikhteyar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Mein iss Yaqeen sy zinda hu app mery hain
Meri hayat ka Dar-O-Madar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Muhabaton ka sila aesay kon deta hai
Sunehri jalion mein Yaar-E-Gaar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Kahan wo Arz-E-Madina kahan meri Hasti
Ya hazri ka sabab baar-bar Apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Seyahakar hu Aaqa bari Nadamat hai
Qasam khuda ki ya mera  waqar apsy hai
-----------------------------------------------------------------
Huzoor apki yadoon my ashkay rehmat hai
Ya teri ankh Zia ashkbaar Apsy hai



Jaa zindgi Madinay sey jhonkay hawakay laa Naat Write By Muzaffar Warsi

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa
Shayad Huzoor ﷺ humsay khafa hain mana ke laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Dunya bohat hi tang musalman py hogai

Farooq key-zamanay key-naqshaay uthaa ke-laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Mehroom kar diya hamay jis-sey nigah ny
Usman sy wo zaawia sharm-o-haya ke-laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Kuch hum beh apna chehra-e-batin sanwaar lain

Abu-Bakar sy kuch aei-nay ishq-O-wafa ke-laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Batil sy dab rahi hey-pir Umaat-Rasool ﷺ ki
Manzar zara hussain sy pir karbala ke-laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Magrib my mara-mara na pir ay gada-E-elm
Darvaza-e-Ali sy ya kharaat jaa ke-laa

Jaa zindgi Madiny sey jhonkay hawakay laa

Kis moo sy paesh hoga Muzafar Huzoor haq
Is-ko shaheed Uswa-e-Aaqa bana ke-laa

BalaGhal Ula Be Kamalehe, Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ Naat Lyric’s


Bala-ghalula be-Kamalehe
Kasha-fadu-ja be-Jamalehe
Hasunat jamee-o-Khisalehe

Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ

Jisay chaha dar py bula lia
Jisay chaha apna bnaa lia
Ya baray karam k hy faisaly
Ya bary naseeb ki baat hy

Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ

Na kaho k Aaqa yahan nahi
Ya kaho k Aaqa kahan nahi
Wo toh jan hy do jahan ki

Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ


Mey buron sy lakh buraa sahi
Magar unsy hey mera wasta
Meri laaj rakhna meray Khuda
Ya tery Habeeb ﷺ ki baat hy

Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ

Kbi khawab my teri deed ho
Teri deed ho meri Eid ho
Humay apny jalwo bheek do
Tery dar py Daman bhecha dia

Sallu Allaehi Wa Aa Lehi ﷺ

Bala-ghalula be-kamalehe
Kasha-fadu-ja be-jamalehe
Hasunat jamee-o-Khisalehe

Koey Nabi Sey Ana Sakay Hum, Rahat He Khuch Aesei

Koey nabi sey ana sakay hum rahat he khuch aesei the
Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Bolo ay Jebreel ke unki kyun kar taliyan chomi thein
Toh kehne lage Jebreel ke unki azmat hi kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Duniya mein Sarkar ki natain parhty rahein har ik lamhaaa
Qabr mein bete naat labhon par aadat hi kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Pass bulaya pass bithaaya arsh pe unko Khaliq ney
Yeh to akher hona hi tha chahat hi kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Taktey rahen Yousaf jaisi bhe hashr main unkey chehry ko
Jab poucha toh kahne lage wo surat hi kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Akbar_O_Asghar or yeh Ghazi din pe warein hans hans kaar
Yu lagta hai deenn_E_Nabi ki kemat he kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Kabr mein Hakim jaab phunchy toh haans ke nakiro ne dekha
Kyona farishtey pyar se milty nisbat hi kuch aese the

Yaad rahi naa janat humko janat he khuch aese the

Koey nabi sey ana sakay hum rahat he khuch aesei the

Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Naat Lyrics -Urdu

Mujhpy bhe chashme karam Naat-Lyrics Mujhpy bhe chashme karam ay mere Aaqa karna Haq toh mera bhe hai rehmat ka takaza karna ______...